kuchh izala to karen aap bhi tadpane ka dil jo toda hai to phir sochiye harjaane ka na koi ashk na bazu na koi zulf nasib koi masraf nazar aaya nahin is shane ka raat kya khub tamasha tha gali mein un ki shaikh-ji puchha kiye rasta mai-khane ka do ghadi dil to bahal jata hai taswir ke sath masala hal nahin hota tere diwane ka wasl mein qurb ki lazzat se bhi mahrum rahe us pe ehsan bhi raha aap ke aa jaane ka is saliqe se gaya hath chhuda kar zalim ki nasha lams ka tha dukh tha bichhad jaane ka sath aisa tha mayassar ki safar katta gaya hum ne socha hi nahin rah mein sustane ka shama ne dekh ke hi lau bhi badhai hogi har patinge mein kahan zarf hai jal jaane ka aap ke chehre ki tamsil kaha hai is ko haq to banta hai yahan phul ke itrane ka