ghamon ke zakhm uthate rahe khushi ke liye taras gae hain mohabbat ki zindagi ke liye kali tabassum-e-be-sakhta se phul bani ye lamha kafi hai ab puri zindagi ke liye ghurub-e-mehr pe kis ne lahu chadhaya hai ye kis ne khun jalaya hai raushni ke liye ye kaisi dil ki lagi hai ki apni umr-e-aziz mitae dete hain hum ek ajnabi ke liye khud apne jaisa hi insan zindagi mange ye kaisa waqt-e-khudai hai aadmi ke liye abhi na todo umid-e-wafa ke phulon ko mujhe to un ka bharosa tha zindagi ke liye