wo bhi ab yaad karen kis ko manane nikle hum bhi yunhi to na mane the siyane nikle main ne mahsus kiya jab bhi ki ghar se nikla aur bhi log kai kar ke bahane nikle aaj ki baat pe main hansta raha hansta raha chot taza jo lagi dard purane nikle ek shatranj-numa zindagi ke khanon mein aise hum shah jo pyaadon ke nishane nikle tu ne jis shakhs ko mara tha samajh kar kafir us ki mutthi se to tasbih ke dane nikle kash ho aaj kuchh aisa wo mera malik-e-dil mere dil se hi mere dil ko churane nikle aap ka dard in aankhon se chhalakta kaise mere aansu to piyazon ke bahane nikle main samajhta tha tujhe ek zamane ka magar tere andar to kai aur zamane nikle lapata aaj talak qafile sare hain 'amir' jo tere pyar mein kho kar tujhe pane nikle