hai ajib kashmakash mein gham-e-arzu ka mara na to arz-e-gham ka yara na kahe baghair chaara kahen us se haal kya jo na samajh sake ishaara gham-e-ishq ko ye zillat nahin hashr tak gawara main nahin hun mauj-e-muztar jo ho be-qarar-e-sahil main ghariq-e-bahr-e-gham hun mujhe dhund le kinara mujhe kya mita sakenge gham-e-hijr ke ye tufan ki abhi hai mere bas mein teri yaad ka sahaara na kahin ka mujh ko rakkha teri aarzu ne zalim main jahan bhi ja ke duba wahin mil gaya kinara meri sakht-jaani bar-haq magar is ka puchhna kya tere hijr ka zamana bana jis tarah guzara main harif-e-kashmakash hun hai jagah meri talatum jise maut ki ho khwahish wahi dhund le kinara tere puchhne ke sadqe gham-e-dil ka majra kya tere lutf ne jalaya teri be-rukhi ne mara meri aarzu aur un ko kahin khwab to nahin hai ye kahan chamak raha hai mere bakht ka sitara hai ajib chiz 'sahir' ye muqaddar-e-wafa bhi ki usi ko hum ne chaha jo na ho sake hamara