dhadka tha dil ki pyar ka mausam guzar gaya hum dubne chale the ki dariya utar gaya khwabon ki wo mata-e-giran kis ne chhin li kya jaaniye wo nind ka aalam kidhar gaya tum se bhi jab nashat ka ek pal na mil saka main kasa-e-sawal liye dar-ba-dar gaya bhule se kal jo aaina dekha to zehn mein ek munhadim makan ka naqsha utar gaya tez aandhiyon mein panw zamin par na tik sake aakhir ko main ghubar ki surat bikhar gaya gahra sukut raat ki tanhaiyan khandar aise mein apne aap ko dekha to dar gaya kahta kisi se kya ki kahan ghumta phira sab log so gae to main chupke se ghar gaya