tair-e-shauq giraftar nahin rah sakta ye asir-e-dar-o-diwar nahin rah sakta jabr hassas tabiat par agar bojh bane habs-abaad mein fankar nahin rah sakta hum agar sach ko zabanon pe saja kar rakkhen phir safar zist ka dushwar nahin rah sakta tu bhi meri hi tarah hai main tujhe jaanta hun der tak tu bhi wafadar nahin rah sakta rahnuma bantte phirte hon jahan khwab 'raza' phir wahan koi bhi bedar nahin rah sakta