dhaDkan dhaDkan yaadon ki baraat akela kamra

dhadkan dhadkan yaadon ki baraat akela kamra
main aur mere zakhmi ehsasat akela kamra

gae dinon ki taswiron ke bujhte hue nuqush
taza tark-e-talluq ke sadmat akela kamra

dosh-e-hawa par udne wale khizan ke aakhiri patte
apni akeli jaan gham-e-haalat akela kamra

aakhiri shab ke chand se karna baalkani mein baaten
us ke shahr mein hotel ki ye raat akela kamra

meri sisakti aawazon se gunjti hain diwaren
sunta hai din raat mare naghmat akela kamra

sab saman baham hain 'sajid' likhne likhane ke
khun-e-jigar aur aansu dil ki dawat akela kamra


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close