lafzon ki taswir banati dil mein qaid hui ek samay wo achchhi ladki dil mein qaid hui kore kaghaz par khenchi thi main ne ek taswir jangal jangal udti titli dil mein qaid hui us ke baad wahi taswiren sab ko dikhata hun khwabon ki wo duniya sari dil mein qaid hui dil ko dukhati hai phir bhi kyun achchhi lagti hai yaadon ki ye sham suhani dil mein qaid hui kaun sa tara us ka ghar hai soch raha tha main raat pari aangan mein utri dil mein qaid hui aawara baadal the hum bhi kya karte aakhir ek kiran ghar mein le aai dil mein qaid hui