dhadkanen band-e-takalluf se zara aazad kar barmala mumkin nahin dil mein kisi ko yaad kar zindagi ek daud hai to sans phulegi zarur ya badal mafhum is ka ya na phir fariyaad kar har khizan ki kokh se hoti hai paida nau-bahaar daman-e-ummid maila aur na dil nashad kar bastiyan tu ne khalaon mein basain bhi to kya dil ke viranon ko dekh un ko bhi kuchh aabaad kar