ek aazar hui jati hai shohrat hum ko khud se milne ki bhi milti nahin fursat hum ko raushni ka ye musafir hai rah-e-jaan ka nahin apne sae se bhi hone lagi wahshat hum ko aankh ab kis se tahayyur ka tamasha mange apne hone pe bhi hoti nahin hairat hum ko ab ke ummid ke shole se bhi aankhen na jalin jaane kis mod pe le aai mohabbat hum ko kaun si rut hai zamane mein hamein kya malum apne daman mein liye phirti hai hasrat hum ko zakhm ye wasl ke marham se bhi shayad na bhare hijr mein aisi mili ab ke masafat hum ko dagh-e-isyan to kisi taur na chhupte 'amjad' dhanp leti na agar chadar-e-rahmat hum ko