ek manzar mein kai bar use dekh ke dekh dekhna hai to lagatar use dekh ke dekh koi suraj se mila pata hai kab tak aankhen phir bhi ek bar lagatar use dekh ke dekh ye khuli aankh ka manzar hi nahin hai meri jaan band aankhon se bhi ek bar use dekh ke dekh barf aankhon mein liye dur khade shakhs ki khair kaise jalne lage rukhsar use dekh ke dekh koi dalan se jugnu na idhar aa nikle khwab ho jaen na bedar use dekh ke dekh dekhte dekhte kya kuchh nazar aane lag jae aaina-khane ke us par use dekh ke dekh hai yaqin chaal sitaron ki badal jaegi ek din subh ka akhbar use dekh ke dekh lab hain jis nam ki tasbih use sun ke tu sun aankh jis ki hai talabgar use dekh ke dekh gard tanhai ki ab chhod udana 'sima' jhenpte hain dar-o-diwar use dekh ke dekh