dhalak ke girne se ye dil mera dara hua hai chhalakte ashkon mein us ne mujhe rakha hua hai ghamon ke sare parinde hi is pe aa baithe khushi ki rut mein zara sa jo dil hara hua hai nahin hain bolne wale jo chaar su apne hamare kanon mein ye shor kyun bhara hua hai mujhe milega wo tinka hi nakhuda ban kar mere liye kisi tufan mein jo baha hua hai bujha sake nahin tufan-e-sim-o-zar us ko hawa ke rukh pe charagh-e-ana jala hua hai meri bhi pahli mohabbat thi sirf yak-tarfa mere bhi sath hua sab se jo sada hua hai tumhaare pyar ka qarza hai is qadar dil par faqir-e-dil bhi to qiston mein hi ghira hua hai hai sans sans mein khushbu usi ki ab 'sadi' wafa ka phul jo dil mein mere khila hua hai