dhalegi raat to niklega aaftab koi ki shahr-e-khwab pe aaega phir azab koi kisi ka zikr kahan hai meri kahani mein na jaane kis liye itna hai aab aab koi bada hasin sa manzar hai apni aankhon mein dikhai deta hai pani mein mahtab koi na kaam aa sakin hazir-jawabiyan meri mujhe bhi kar gaya pal-bhar mein la-jawab koi main chah kar bhi kisi mod par nahin rukta dil-o-nigah mein rahta hai iztirab koi main harf harf ise padh raha hun barson se ye sail-e-waqt hai jaise khuli kitab koi ye ehtimam-e-nazara bhi khub hai 'naushad' dikhane aai hai duniya mujhe bhi khwab koi