yun zabt-e-musalsal ka sila kyun nahin dete har naqsh-e-tamanna hi mita kyun nahin dete manzil pe bhi aasuda-e-manzil na hua dil phir hum ko bhatakne ki dua kyun nahin dete rah rah ke sulagte hain khayalon mein nae gham yaadon ke saman-zar jala kyun nahin dete us se to hikayat-e-junun aur badhengi chup kyun ho koi baat bana kyun nahin dete dil hai to kahin nazr karo kaam to aae sar hai to kisi dar pe jhuka kyun nahin dete aain-e-karam bhul gae ahl-e-nazar bhi mahaul ko aaina dikha kyun nahin dete milta hai pata jin ko tere nam se apna wo log hamein tera pata kyun nahin dete kaise main pukaron ki bahut dur hun tum se tum dil ke qarin ho to sada kyun nahin dete