jo azal hi se muqaffal hai wo ghar kholega aaj wo mere liye satwan dar kholega dhundhta hai jo bahar-gam nai rah yahan wo musafir bhi kabhi rakht-e-safar kholega sabz patton ki qaba kis ne hai chhini us se ik-na-ik roz ye uqda to shajar kholega us ki qismat pe sabhi rashk to karte hain magar kitne pani mein sadaf hai ye guhar kholega ek muddat se jo baitha hai simat kar khud mein wo parinda bhi hawa dekh ke par kholega mom ki tarah pighal jaenge patthar kitne ek fankar jahan dast-e-hunar kholega raaz-e-hasti bhi kisi roz yahan par 'naushad' dekhna mujh sa koi khak-basar kholega