dil gham ke liye mazra-e-zarKHez bahut hai

dil gham ke liye mazra'-e-zarkhez bahut hai
aur dasht-e-junun hai ki gham-angez bahut hai

hum barg-e-khizan-dida koi dhund bhi laen
lekin ye zamane ki hawa tez bahut hai

paband-e-wafa hai ki chhalakne se hai mane
paimana-e-jaan warna to labrez bahut hai

kya tarz-e-takallum se hamein us ke sarokar
andaz-e-takhatub hi dil-awez bahut hai

is aahu-e-ram-khurda se mushkil hai rah-o-rasm
wo shahr ke logon mein kam-amez bahut hai

ai subh sitaron ki tajalli mein nazar aa
hangam-e-shabab ab to sahar-khez bahut hai

kuchh hum bhi 'kafil' aise takalluf se gurezan
kuchh un ko bhi yun aadat-e-parhez bahut hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close