na-ahl aur nikamme siwa is ke kya karen baithe har ek shakhs pe bas tabsira karen achchha hai aap apni hamesha kaha karen lekin kabhi kabhaar meri bhi suna karen haq baat munh pe kahne ki aadat hai kya karen kam-zarf hum se soch-samajh kar mila karen munsif wahi gawah wahi muddai wahy un ko hi ikhtiyar hai jo faisla karen mohsin ho chaaragar ho masiha ho kya ho tum hum tum se apne dard ka kyon tazkira karen kafi hai apne waste bas ek khuda ki zat har dar pe ja ke kis liye hum iltija karen buzdil ki tarah kis liye baithe hain ghat mein himmat agar hai aap mein to samna karen kya ek hum hi thahre mohabbat ke pasdar kya ek hum hi sare jahan se wafa karen sheron mein dhire dhire zarur aaega nikhaar ustad shairon ko ai 'tabish' padha karen