sardi-o-garmi-o-barsat mein aa jata hai mujh se milne wo mazafat mein aa jata hai fasl-e-gul aane pe ho jati hai virani dur dil kharabe se kharabaat mein aa jata hai kabhi danista ada ho kabhi na-danista nam tera meri har baat mein aa jata hai jism ki nashw-o-numa surat-e-ashiya-e-zamin ru-e-khuban falakiyyat mein aa jata hai ishq ka sabr-o-tahammul hi se qaem hai waqar nala fariyaad khurafat mein aa jata hai khidmat-e-khalq se hoti hai khuda ki khidmat ishq makhluq-e-ibaadat mein aa jata hai banda ho jata hai jab khugar-e-mushkil 'abid' zaiqa talkhi-e-haalat mein aa jata hai