wafa ka meri kya sila dijiyega gham-e-dil ki lazzat badha dijiyega mujhe dekh kar muskura dijiyega yunhi meri hasti mita dijiyega sila dil lagane ka kya dijiyega sitam dijiyega saza dijiyega sukun ki talab mujh ko hargiz nahin hai bas ek dard ka silsila dijiyega khushi bantne ke nahin aap qail to gham hi mujhe kuchh siwa dijiyega mujhe kya khabar thi ki khud lauh-e-dil par mera nam likh kar mita dijiyega sukun qalb ko jis se mil jae 'taban' ghazal koi aisi suna dijiyega