dhire dhire qabr ke andar talak pahunchaegi ek din mujh ko meri ye hasraten kha jaengi bol collar chhod den mere charaghon ki ai raat warna jo pagal hawaen hain teri pachhtaengi aao apne masalon ko khud hi suljhate hain hum ye siyasi partiyan aur hamein uljhaengi betiyon ko sans lene do khule mahaul mein warna ye bechaariyan ghut ghut ke hi mar jaengi zindagani se hain jo shikwe gile mit jaenge rahmaten allah ki jab nur se nahlaengi apni khuddari ko bhi nilam main ne kar diya mujh se ye majburiyan ab aur kya karwaengi