ye faqiri hai qanaat ke siwa kya jaane kaun kya de ke gaya dast-e-dua kya jaane aag tan mein to laga lena koi khel hai kya kitne majbur diye honge hawa kya jaane us ko karna hai tah-e-khak so karti jae kaun hai sim-badan mauj-e-bala kya jaane wo to dariyaon ko sairab kiye jati hai sukhe kheton ki zarurat ko ghata kya jaane ashk aankhon mein bhare hon to nazara kaisa kanpta hath koi band-e-qaba kya jaane koi zinda na bache wo to yahi chahte hain kitna sunta hai khudaon ka khuda kya jaane us se pahle jo kabhi chumte phulon ko 'fahim' kaun sa gham hai hamein baad-e-saba kya jaane