dil ki aawaz jo alfaz mein dhaali hui hai aarzuon ke chaman-zar ki pali hui hai hum asiran-e-mohabbat hain hamein kya malum kis ki dastar sar-e-bazm uchhaali hui hai har taraf dar-o-rasan ke hain marakiz to rahen sarfaroshon se ye duniya kahin khali hui hai us ki tah mein hain nihan sainkadon andaz-e-fusun rasm-e-taqrib jo mahfil se nikali hui hai khwab-o-tabir ki raqsinda shagufta si kali daman-e-shauq mein muddat se sanbhaali hui hai khwah ghairon se ho ya apne azizon se 'kamal' guftugu meri hui hai to misali hui hai