hazar shewa-e-rangin hai ek jafa ke liye nigah chahiye nairangi-e-ada ke liye sawad-e-fikr se ubhri teri hasin nigah main shama dhundh raha tha rah-e-wafa ke liye wo ranj-e-rah ho ya khauf-e-gumrahi ai dost jo rah-rau ke liye hai wo rahnuma ke liye ye bandagi ye riyazat ye zohd ye taqwa ye sab khudi ke liye hai ki hai khuda ke liye ye waqt wo hai ki diwana tod de zanjir ki khul rahi hai wo zulf-e-siyah dua ke liye mita mita ke banae gae kham-e-gesu padi girah pe girah ek mubtala ke liye sukut-e-shab mein ki thahri hai kaenat ki nabz dil aashna ka dhadakta hai aashna ke liye bas ek nigah ne donon ko de rakha hai fareb 'raza' tumhaare liye hai na tum raza ke liye