dikhai dene ke aur dikhai na dene ke darmiyan sa kuchh khayal ki la-makaniyon mein ubhar raha hai makan sa kuchh koi tayyun koi tayaqqun nazar ko mahdud rakh sake jo falak se niche bahut hi niche bana hai ek saeban sa kuchh numu ka tufan tha aafrinash ki zad pe hum tum khade the donon tumhein bhi kuchh yaad aae shayad mujhe to aata hai dhyan sa kuchh hawaen wabastagi se pur hain faza pe maujudgi hai tari nawah-e-jaan mein lahak raha hai base-basae jahan sa kuchh kahin ye manzar mein qaid lamhe kahin ye lamhon mein qaid manzar rasai ki aazmaishon mein rihai ka imtihan sa kuchh andhere kaghaz ki wusaton mein kahin kahin raushni ke dhabbe ye sai-e-tajsim-e-na-bayani ye ishtibah-e-bayan sa kuchh