dhund leta hun wajah koi nibhane ke liye warna baaten hain kai chhod ke jaane ke liye tere message ko sanbhaala hai badi muddat se dil machal jae to auqat dikhane ke liye wo jo be-nam sa ek rabt tha ab khatm karen khat ke auraq nikale hain jalane ke liye tu ye samjhe ki asar dil pe nahin hota hai jab ki phir maut to ibrat hai zamane ke liye hum the khuddar so gumnam rahe sari umr log kam-zarf bane nam kamane ke liye jab tere shahr mein ushshaq ka majma hoga hum bhi aaenge wahan sher sunane ke liye thokaren kha ke jo sajde mein gira itna kaha mazarat mere khuda der se aane ke liye