zakhm se khauf hamein misl-e-guhar kuchh bhi nahin khwahish-e-chaara-e-nasur-e-jigar kuchh bhi nahin itni muddat se nikala hai ki manind-e-adam koi puchhe to mujhe yaad wo ghar kuchh bhi nahin diye is hasti-e-mauhum ne kya kya dhoke go ki zahir mein ye sab kuchh hai magar kuchh bhi nahin sarf ki umr abas shaghl-e-dua mein hum ne ki samajhte the koi shai hai asar kuchh bhi nahin kije kushta mujhe kaam aaunga misl-e-simab aap ka faeda hai is mein zarar kuchh bhi nahin subh-e-piri hui aur kuch ka waqt aa pahuncha haif hai pas mere zad-e-safar kuchh bhi nahin bahr-e-rahmat pe khuda ke nahin zahid ko nazar samne us ke mera daman-e-tar kuchh bhi nahin kyon meri qatl pe bandha ise kholo sahab main gunahgar hun aur jurm-e-kamar kuchh bhi nahin bad-gumani ne yahan wahm lagae kya kya wan satane ke siwa madd-e-nazar kuchh bhi nahin hai shab-e-wasl mai-e-wasl piyo tum be-khauf aankh kyon aap ki hai jaanib-e-dar kuchh bhi nahin dirham-e-dagh bhi gardun ne diye par 'sabir' is mein hoti meri auqat basar kuchh bhi nahin