dhund mein dubi sari faza thi us ke baal bhi gile the jis ki aankhen jhilon jaisi jis ke hont rasile the jis ko kho kar khak hue hum aaj use bhi dekha to hansti aankhen afsurda thin hont bhi nile nile the jin ko chhu kar kitne 'zaidi' apni jaan ganwa baithe mere ahd ki shahnazon ke jism bade zahrile the aakhir aakhir aisa hua ki tera nam bhi bhul gae awwal awwal ishq mein jaanan hum kitne joshile the aankhen bujha ke khud ko bhula ke aaj 'shanas' main aaya hun talkh thin lahjon ki barsaten rang bhi kadwe-kasile the