dhunda na paiye jo is waqt mein sau zar hai phir chah jis ki mutlaq hai hi nahin hunar hai har-dam qadam ko apne rakh ehtiyat se yan ye kar-gah sari dukkan-e-shishagar hai dhaya jinnon ne us ko un par kharabi aai jaana gaya usi se dil bhi kaso ka ghar hai tujh bin shakeb kab tak be-faeda hun nalan mujh nala kash ke to ai fariyaad-ras kidhar hai said-afgano hamare dil ko jigar ko dekho ek tir ka hadaf hai ek tegh ka sipar hai ahl-e-zamana rahte ek taur par nahin hain har aan martabe se apne unhen safar hai kafi hai mahr qatil mahzar pe khun ke mere phir jis jagah ye jawe us ja hi mo'atabar hai teri gali se bach kar kyun mehr-o-mah na niklen har koi jaanta hai is rah mein khatar hai we din gae ki aansu rote the 'mir' ab to aankhon mein lakht-e-dil hai ya para-e-jigar hai