raaz-e-ishq izhaar ke qabil nahin jurm ye iqrar ke qabil nahin aankh par khun shaq jigar dil daghdar koi nazr-e-yar ke qabil nahin did ke qabil hasin to hain bahut har nazar didar ke qabil nahin de rahe hain mai wo apne hath se ab ye shai inkar ke qabil nahin jaan dene ki ijazat dijiye sar mera sarkar ke qabil nahin chhod bhi gulshan ko ai nargis kahin ye hawa bimar ke qabil nahin shaeri ko tab-e-rangin chahiye har zamin gulzar ke qabil nahin khamushi meri ye kahti hai 'jalil' dard-e-dil izhaar ke qabil nahin