ye kis ne shakh-e-gul la kar qarib-e-ashiyan rakh di ki main ne shauq-e-gul-bosi mein kanton par zaban rakh di suna tha qissa-khwan koi naya qissa sunaega hamare munh pe zalim ne hamari dastan rakh di khulus-e-dil se sajda ho to us sajde ka kya kahna wahin kaba sarak aaya jabin hum ne jahan rakh di uthaya main ne sham-e-hijr lutf-e-guftugu kya kya tasawwur ne teri taswir ke munh mein zaban rakh di