DhunDe na mera dil kisi gham-KHwar ka saya

dhunde na mera dil kisi gham-khwar ka saya
mil jae agar aap ki diwar ka saya

is andhe kuen se jo nikal kar koi dekhe
aata hai nazar dhup mein ashjar ka saya

zarkhez hai mitti usi shadab zamin ki
jis par hai kisi abr-e-guhar-bar ka saya

darta hun ki sun kar mere ashaar-e-dil-afgar
pad jae na is par gham-o-afkar ka saya

jab tak nahin marne ka ye ek jazba-e-isar
phaila hai saron par rasan-o-dar ka saya

aata hun main kar do shab-e-tira ko khabar-dar
sine mein chhupae hue anwar ka saya

luta na maza husn-e-nazar ka kabhi us ne
utra na kabhi nargis-e-bimar ka saya

jina bhi hai mushkil ki 'ziya' rahta hai sar par
har lahza latakti hui talwar ka saya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close