ye jo tufan mere shahr mein aaya hua hai

ye jo tufan mere shahr mein aaya hua hai
ye bhi un shokh nigahon ka uthaya hua hai

jaane jis khwab ki tabir liye phirta hun
ek dariya hai jo aankhon mein samaya hua hai

jo ye kahta hai badan chhod ke bahar aa jaun
us se kah do abhi ghar mein koi aaya hua hai

haal-e-dil kaise sunaun ki teri aankhon ne
ek pahra mere honton pe bithaya hua hai

sar mein us ke bhi kahan ishq ka sauda koi
dhong hum ne bhi mohabbat ka rachaya hua hai

wo jahan husn ki qimat se mata-e-dil-o-jaan
ye bhi sauda usi bazar se laya hua hai

ek ek int bataegi 'ziya' dekho to
jis mein rahte ho wo ghar kis ka banaya hua hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close