dil mein jo kuchh hai abhi uski pazirai nahin

dil mein jo kuchh hai abhi us ki pazirai nahin
main ki khushbu hun pa khulne ki ghadi aai nahin

an-kahi baat ke sau rup kahi baat ka ek
kabhi sun wo bhi jo minnat-kash-e-goyai nahin

meri nazron mein hai khilte hue phulon ki tarah
wo nami jo abhi shakhon mein bhi lahrai nahin

kya manazir the ki jo dekhti aankhon dekhe
khwab bunta hun ki aasuda-e-binai nahin

sabhi dana sabhi sar dal ke chup baith rahe
ki yahan koi bhi shaista-e-ruswai nahin

dil bujha ho to gul-e-naghma bhi nashtar hai 'ziya'
shiddat-e-gham ka ilaj anjuman-arai nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close