dhundhna milna bichhadna kahin khona ruk jae ye jo hota hai tabiat mein ye hona ruk jae gham ki bad-ruh se kuchh aur tawaqqoa mat rakh raat ke pichhle pahar us ka ye rona ruk jae har mahine ki tarah phir se badhe ikhrajat phir kahin nanhe se bachche ka khilauna ruk jae is liye duble hue jate hain sab ahl-e-ishq khana-pina na rahe chain se sona ruk jae dil ki barbaadi bhi hai dast-daraazi misdaq jo tere sath hua auron se hona ruk jae