ek nae sanche mein dhal jata hun main qatra qatra roz pighal jata hun main jab se wo ek suraj mujh mein duba hai khud ko bhi chhu lun to jal jata hun main aaina bhi hairani mein duba hai itna kaise roz badal jata hun main mithi mithi baaton mein malum nahin jaane kitna zahr ugal jata hun main ab thokar khane ka mujh ko khauf nahin girta hun to aur sambhal jata hun main akasr ab apna pichha karte karte khud se kitni dur nikal jata hun main