dhundhta hai koi rasta mere aaine mein qaid jo shakhs hai mujh sa mere aaine mein khinch le tujh ko na aaine ke andar ka tilism ghaur se dekh na itna mere aaine mein us ke jaisa hun main aaine ke bahar koi rah raha hai wo jo mujh sa mere aaine mein main hi aaina-e-duniya mein chala aaya hun ya chali aai hai duniya mere aaine mein aks kuchh aur nazar aata hai mera sab ko kis ne ab tak mujhe dekha mere aaine mein ru-ba-ru hota hai ek shakhs bhi mujh sa 'athar' main akela nahin hota mere aaine mein