dil mein sharminda hain ehsas-e-khata rakhte hain hum gunahgar hain par khauf-e-khuda rakhte hain wo sitam-pesha kahan sharm-o-haya rakhte hain hum gharibon pe har ek zulm rawa rakhte hain jeb mein kuchh bhi nahin dil hai amiron jaisa hath khali hain magar khu-e-ata rakhte hain bewafai ka ye ilzam sarasar hai ghalat hum to ajdad se wirse mein wafa rakhte hain hum ne mana ki tahi-dast hain par sab ke liye dil mein ganjina-e-ikhlas-o-wafa rakhte hain jaane kis mod pe kya hadisa pesh aa jae mustaqil jeb mein hum apna pata rakhte hain sham dhalti hai to nakaamiyan karti hain nidhaal subh hoti hai to hum azm naya rakhte hain ji-huzuri kisi surat nahin hoti hum se bas isi waste hum sab ko khafa rakhte hain kyon karen fikr zamane ke chalan ki 'bebak' hum to har haal mein jine ki ada rakhte hain