gham juda pesh raha hai mere afkar juda dil pe ye mar juda rahti hai wo mar juda ho gai band jo bimar-e-mohabbat ki zaban chaara-gar chup hain juda munis-o-gham-khwar juda dil bhi kya jins hai manhus wo farmate hain bechne wale juda rau mein kharidar juda tum agar jao to wahshat meri kha jae mujhe ghar juda khane ko aae dar-o-diwar juda mal ka mol hai mauquf kharidaron par dasht-e-kanan hai juda misr ka bazar juda mujh se naraaz hain jo log wo khush hain un se main juda chiz hun 'natiq' mere ashaar juda