DhunDhti phirti hai ab usko nigah-e-wapsin

dhundhti phirti hai ab us ko nigah-e-wapsin
us dariche mein ek afsani tabassum tha kahin

sari tashbihat dafna den bayaban mein kahin
tera kya duniya mein koi bhi kisi jaisa nahin

tod kar ek husn har din tujh ko rakkha hai hasin
zindagi kya apne bare mein bhi ab sochen hamein

ab to is sahra ke har goshe pe hota hai guman
gir gaya hai jaise mera aakhiri sikka yahin

ek tabassum khud pe thoda rahm kar lene ko hai
aur agar ye shai bhi mujh se kho gai kal tak kahin

tanz karta hun main logon se ulajh leta bhi hun
mujh se lad lo jab talak gungi hai meri aastin

roz-o-shab ke karb ka radd-e-amal ek khamushi
zist zalim bap ki majbur beti to nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close