kabhi hayat ka gham hai kabhi tera gham hai har ek rang mein nakaamiyon ka matam hai khayal tha tere pahlu mein kuchh sukun hoga magar yahan bhi wahi iztirab paiham hai mere habib meri muskurahaton pe na ja khuda-gawah mujhe aaj bhi tera gham hai sahar se rishta-e-ummid bandhne wale charagh-e-zist ki lau sham hi se maddham hai ye kis maqam pe le aai zindagi 'rahi' qadam qadam pe jahan bebasi ka aalam hai