in ki jab nukta-wari yaad aai apni hi be-khabari yaad aai yaad aai bhi to yun ahd-e-wafa aah ki be-asari yaad aai aaj kyun un ko ba-aghosh-e-raqib meri hi ham-asari yaad aai dil ne phir waqt se ladna chaha phir wahi dard-bhari yaad aai apna sina hua raushan to unhen husn ki kam-nazari yaad aai jab bhi dhyan aaya kahin manzil ka rah ki shab-basari yaad aai kis ko hasil hai dimagh-e-nala be-sabab be-hunari yaad aai dekh kar be-dili-e-shauq ka rang apni aashufta-sari yaad aai us pe kya guzri jo is aalam mein phul ko jama-dari yaad aai bagh ka haal wo dekha hai 'nazar' shakh thi jo bhi hari yaad aai