dhundne khud hi chala aata sukun-e-dil mujhe hae-qismat tu ne rakha bhi kisi qabil mujhe iztirab-e-shauq kahta hai abhi chalte raho de rahi hai dawat-e-khatm-e-safar manzil mujhe main to ye tai kar chuka tha ab na aaunga magar khinch laya teri jaanib iztirab-e-dil mujhe jalwa wajh-e-be-khudi o shauq wajh-e-iztirab mutmain hone nahin deti koi mushkil mujhe bahr-e-ulfat mein meri nakaamiyan uf al-aman dhundhta hun har taraf milta nahin sahil mujhe uf kisi karwat qarar aata nahin sham-e-alam kar diya hai dard-e-dil ne is qadar bismil mujhe rang lana tha na laya mera khun-e-arzu hashr mein hona pada sharminda-e-qatil mujhe phir usi pur-kaif aalam ki hai mujh ko justuju phir wahi naghma suna de ai nawa-e-dil mujhe khul na jae raaz-e-ulfat ahl-e-mahfil par kahin aap rah rah kar na dekhen yun sar-e-mahfil mujhe aa gae ashk-e-nadamat un ki aankhon mein 'faza' dekhiye ab kya dikhae jazba-e-kaamil mujhe