wo karwaT ba karwaT sirhane se guzri

wo karwat ba karwat sirhane se guzri
meri raat tum ko manane se guzri

jo guzri na thi hijr ke gulsitan se
wo chahat mein apne thikane se guzri

jigar mein mere hai ye kya hashr barpa
ye guzri hai jo pas aane se guzri

wo kya zindagi thi jo pur-nam labon ko
yun danton ke andar dabane se guzri

baji tal jab bhi teri dhadkanon ki
wo lafzon ke andar fasane se guzri

ek aashiq ne phulon ki barish si kar di
suna hai wo jab aastane se guzri

kabhi tum to aaogi ye aah sun kar
hai ab tak kisi is bahane se guzri

jo guzri khayalon ke markaz pe baithe
wo kandhe pe sar ko jhukane se guzri

amaltas ki pattiyon ki dari par
ghadi tum ko dukhda sunane se guzri

ye hairan dil hai 'murad'-e-jahan ka
hai jis pe fana kuchh chhupane se guzri


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close