husn-e-tamasha dost chhupe kyon hijab mein sau jalwe runuma hain kisi ke naqab mein ai kaif-e-be-khudi mujhe le ja usi jagah hain sar-ba-sajda sainkadon jis ki janab mein ai dard thahr thahr meri justuju ko dekh main un ko dekhta hun hazaron naqab mein har maut ka hai raaz-e-nihan zindagi dawam har zindagi bahaar hai khana-kharab mein ban ban ke hai bigadne mein ek shan-e-dilbari ek taza zindagi hai har ek inqalab mein mar mar ke hum ne martaba hasil kiya hai ye rang-e-shabab laya hai bachpan hijab mein dariya mein aaj kis ka safina hua tabah kyon dabdabae ashk ye chashm-e-habab mein ai jazb-e-shauq thahr na badh tu hudud se raaz-e-nihan ayan na ho chashm-e-pur-ab mein 'sayyad' ye ishq aur hasinon ki mahfilen sab khwab hai jo dekh rahe ho shabab mein