faisle wo na jaane kaise the raat ki raat ghar se nikle the yaad aate hain ab bhi rah rah kar shahr mein kuchh to aise chehre the kya zamana tha wo ki hum donon ek-duje ka dukh samajhte the kis kadi dhup ke safar mein hain nam pedon pe jin ke likkhe the jaane kis gul-badan ki yaad aai fasl-e-gul mein udas baithe the waqt sa chaaragar bhi haar gaya hijraton ke to zakhm aise the pahli barish hi le gai 'faruq' rang sare ke sare kachche the