dhup haalat ki ho tez to aur kya mango kisi daman ki hawa zulf ka saya mango us se kya kam hai kisi ke rukh-e-zeba ki ziya mah-o-khurshid se kyun un ka ujala mango jis ke baad aur na rah jae tamanna koi mangna ho jo khuda se wo tamanna mango khub hai dard ki lazzat ye badi daulat hai zakhm-e-dil ke liye marham na mudawa mango jis se chhai hui haalat ki zulmat chhat jae tum to khurshid ho khud se wo ujala mango gar shab-e-gham ko sahar chaho banana 'asi' kisi salma se ziya-e-rukh-e-zeba mango