dilon mein duriyan aur fasle rakkhe hue hain

dilon mein duriyan aur fasle rakkhe hue hain
ba-zahir har kisi se rabte rakkhe hue hain

ba-nam-e-zindagi kuchh qaede rakkhe hue hain
nazar ne apne apne zawiye rakkhe hue hain

badi tanzim aur tadrij se ghayal hua hun
sitamgar ne sitam ke zabte rakkhe hue hain

hamara to yahan par aur masraf hi nahin hai
jahan mein hum tumhaare waste rakkhe hue hain

mujhe mere alawa kuchh nazar aae to kaise
mere atraf mein to aaine rakkhe hue hain

jahan se bhi guzarta hun ulajh jate hain panw
zamin par har taraf hi daere rakkhe hue hain

hamare kul asase ki koi qimat to hogi
jo kuchh bhi hai tumhaare samne rakkhe hue hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close