dhup ke dasht mein be-saya shajar mein hum the munhamik phir bhi sarabon ke safar mein hum the muntashir kar chuki aandhi to ye malum hua ek bagule ki tarah ret ke ghar mein hum the teri aawaz ke jadu ne khabar-dar kiya na-samajh the ki balaon ke asar mein hum the ta na shaki rahe dariya-e-hawas ki koi mauj baadban jism ke khole ki bhanwar mein hum the ye tere qurb ka eajaz hai warna pahle taq itne kahan jine ke hunar mein hum the