sar-e-rah ek hadisa ho gaya achanak tera samna ho gaya khud apni bhi ab yaad aati nahin teri yaad ka haq ada ho gaya masihaiyan dekhti rah gain tera dard badh kar dawa ho gaya kategi kis ummid par zindagi agar tera gham bhi juda ho gaya qarib aa gain khud-bakhud manzilen tera naqsh-e-pa rahnuma ho gaya unhen dekh kar dekhti rah gain khuda jaane aankhon ko kya ho gaya 'rishi' zindagi zindagi ban gai dil apna alam-ashna ho gaya