shikari hain bade shatir bahana le ke chalte hain wo tirchhi nazron mein sidha nishana le ke chalte hain hamari mezbani se na ghabraya karo logo hum apne sath apna aab-o-dana le ke chalte hain zara pahchan kar batlao to ye kaun hain kya hain ki baadal jin ke sar par shamiyana le ke chalte hain ki hum ahl-e-adab hum kya karenge hamsari un ki jo apne sath sarkari khazana le ke chalte hain sabhi ko ilm hai go phul un ko kuchh nahin kahte ye bhaunre hain mizaj-e-ashiqana le ke chalte hain thikanon ki na socho aap 'azhar' ghar se to niklo parinde sath mein kab aashiyana le ke chalte hain